CHAAND SI SHAKAL JO ..
Chaand si shakal jo Allah ne de di thi tum ko,
Kaash raushan meri kismat ka sitaara karte..
Kaash raushan meri kismat ka sitaara karte..
EHSAAN AESA TALKHH J..
Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,
Hum is ke baad phir koi armaan na kar sake.
Hum is ke baad phir koi armaan na kar sake.
NAZAR FARAIB QAZAA K..
Nazar faraib qazaa kha gayi to kya hoga,
Hayaat maut se takraa gayi to kya hoga,
Hayaat maut se takraa gayi to kya hoga,
Neyi seher ke bohat muntazir hain magar,
Neyi seher bhi jo kujlaa gayi to kya hoga,
Neyi seher bhi jo kujlaa gayi to kya hoga,
Na rehnamaaon ki majliss main le chalo mujh ko,
Main be-adab hoon hanssi agayi to kya hoga,
Main be-adab hoon hanssi agayi to kya hoga,
Gham hayaat se beshak hai khud-kushi asaan,
Magar jo maut bhi sharmaa gayi to kya hoga.
Magar jo maut bhi sharmaa gayi to kya hoga.
MUDDAT GUZAR GAYI KE..
Muddat guzar gayi ke yeh aalam hai mustaqil,
Koi sabbab nahin hai magar dil udaas hai
Koi sabbab nahin hai magar dil udaas hai