Aanso Poetry

AAJ AANSUU TUM NE PO..


Aaj aansuu tum ne poncchhe bhi to kya,
Yeh to apna umr bhar ka kaam hai..

AIK AANSUU AANKH MAI..

Aik aansuu aankh main roka hua,
Aik hansi honton se behti huyi..

JO ZUBAAN SE BEYAAN ..

Jo zubaan se beyaan nahin hote,
Unhi lafzon se ashkk bante hain..

MUJHE TUM YAAD ATEY ..

Zamaane ke sawalon ko main hanss ke taal doon lekin,
Nammi ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad atey ho..

KAMI NAHI HAI KISI C..

Kami nahi hai kisi cheez ki magar,
Akela beth ke roya hoon zaar zaar bohat..
Zabt karna hai to phir hadh se guzarna ho ga,
Khoon ho jaye yeh dil, aankh na bharne paye..